Shakir Kalkattvi

be-parda us ka chehra-e-pur-nur to hua

Shakir Kalkattvi

be-parda us kā chehra-e-pur-nūr to huā
kuchh der sho.abada sā sar-e-tūr to huā
achchhā kiyā ki maiñ ne kiyā tark-e-ārzū
be-sabr dil ko sabr kā maqdūr to huā
go us meñ ab nahīñ haiñ laḌakpan kī shoḳhiyāñ
lekin shabāb aane se maġhrūr to huā
ab aur iltifāt se maqsad hai kyā tirā
bas ai nigāh-e-mast ki maiñ chuur to huā
tum ne agar sunā nahīñ ye aur baat hai
afsāna mere ishq kā mash.hūr to huā
suntā huuñ husn mā.il-e-mehr-o-vafā hai ab
ai iḳhtiyār-e-ishq vo majbūr to huā
'shākir' ko hai nasīb se kis baat kā gilā
duniyā-e-shā.irī meñ vo mash.hūr to huā
Top Urdushayar.com