Mufti Sadruddin Aazurda

nalon se mere kab tah-o-baala jahan nahin

Mufti Sadruddin Aazurda

Delhi, India

nāloñ se mere kab tah-o-bālā jahāñ nahīñ
kab āsmāñ zamīn-o-zamīñ āsmāñ nahīñ
qātil kī chashm-e-tar na ho ye zabt-e-āh dekh
juuñ sham.a sar kaTe pe uThā yaañ dhuāñ nahīñ
ai bulbulān-e-sho.ala-dam ik naala aur bhī
gum-karda-rāh-e-bāġh huuñ yaad āshiyāñ nahīñ
is bazm meñ nahīñ koī āgāh varna kab
vaañ ḳhanda zer-e-lab udhar ashk-e-nihāñ nahīñ
ai dil tamām naf.a hai saudā-e-ishq meñ
ik jaan kā ziyāñ hai so aisā ziyāñ nahīñ
nāz-o-nigah ravish sabhī laagū haiñ jaan ke
hai kaun adā vo terī ki jo jāñ-sitāñ nahīñ
milnā tirā ye ġhair se ho bahr-e-maslahat
ham ko to sādgī se tirī ye gumāñ nahīñ
āzurda tak bhī kuchh na hai us ke rū-ba-rū
maanā ki aap sā koī jādū-bayāñ nahīñ
Top Urdushayar.com