Kashfi Multani

shor hai har taraf sahab sahab

Kashfi Multani

1900-1976
shor hai har taraf sahāb sahāb
sāqiyā sāqiyā! sharāb sharāb
āb-e-haivāñ ko mai se kyā nisbat
paanī paanī hai aur sharāb sharāb
riñd baḳhshe ga.e qayāmat meñ
shaiḳh kahtā rahā hisāb hisāb
ik vahī mast bā-ḳhabar niklā
jis ko kahte the sab ḳharāb ḳharāb
mujh se vaj.h-e-gunāh jab pūchhī
sar jhukā ke kahā shabāb shabāb
jaam girne lagā to bahkā shaiḳh
thāmnā thāmnā kitāb kitāb
kab vo aatā hai sāmne 'kashfī'
jis kī har ik adā hijāb hijāb
Top Urdushayar.com