dil dil hī rahegā gul-e-tar ho nahīñ saktā
ḳhuuñ ho ke bhī manzūr-e-nazar ho nahīñ saktā
jo zulm kiyā tū ne kiyā be-jigrī se
aisā to kisī kā bhī jigar ho nahīñ saktā
thak thak ke tirī raah meñ yuuñ baiTh gayā huuñ
goyā ki bas ab mujh se safar ho nahīñ saktā
iz.hār-e-mohabbat mire aañsū hī kareñge
iz.hār ba-andāz-e-digar ho nahīñ saktā
har buuñd lahū kī kabhī bantī nahīñ aañsū
jaise ki har ik qatra guhar ho nahīñ saktā
ye ahd-e-javānī bhī hai kuchh aisā zamāna
be-bāda-e-sarjosh basar ho nahīñ saktā
le jā.egā ye dil mujhe us bazm meñ āḳhir
jis meñ ki sabā kā bhī guzar ho nahīñ saktā
jab tak tirī rahmat kā hai 'kashfī' ko sahārā
sach ye hai gunāhoñ se hazar ho nahīñ saktā