haq pasandoñ se jahāñ bar-sar-e-paikār sahī
kuchh dinoñ aur bhī rusvā sar-e-bāzār sahī
ḳhūn-e-ma.asūm se ta.amīr hai bustān-e-vajūd
ishrat-e-dahr se mahrūm vafādār sahī
jehd-o-īsār se raushan hai vafā kī qindīl
dil-girafta haram-e-pāk kā me.amār sahī
merā īmān hai elān-e-haqīqat karnā
laakh mansūr kī ḳhātir rasan-o-dār sahī
azm-e-rāsiḳh hai to har gaam hai manzil ba-kanār
vahshat-āsār sivā darra-e-dushvār sahī
ābla-pā se bujhāte hī chalo tishna-labī
mumtahin jāda-e-auqāt kā har ḳhaar sahī
baḌh ke lenā hai hameñ jur.at-e-īsār se kaam
hā.il-e-rāh-e-junūd-e-ġham-o-āzār sahī
Daal do bahr-e-havādis meñ ḳhudā par kashtī
nā-ḳhudā dām-e-tavahhum meñ giraftār sahī
rāhbar jazba-e-sādiq dil-e-ma.asūm kā hai
har nafas ziist kā ik manzil-e-dushvār sahī
sarfaroshān-e-vatan aaj vatan kī ḳhātir
ek gulzār ho ta.amīr sar-e-dār sahī
husn-e-aḳhlāq se 'bebāk' raho sīna-sipar
dast-e-āġhyār meñ shamshīr-e-sharar-bār sahī