Bebak  Bhojpuri

sarir-e-KHama se tashrih-e-sirr-e-zi hogi

Bebak Bhojpuri

Bhojpur, Bihar, India

1919-1984
sarīr-e-ḳhāma se tashrīh-e-sirr-e-zī hogī
fazā-e-sher meñ iqlīm-e-āgahī hogī
jise karam se tire baḳht-e-nā-rasā na milā
use nasīb haqīqat meñ kyā ḳhushī hogī
fazā-e-tīra kī uqda-kushā hai jo tanvīr
ḳhulūs-e-dil kī vo pur-kār sādgī hogī
riyāz-e-ma.anī kī jis se fazā hai raḳhshanda
alam-nasīb ke dil kī vo shā.erī hogī
haram ke ḳhāk-nashīnoñ se be-adab ījād
vufūr-e-dard se paidā qalandarī hogī
lahū se dil ke charāġhāñ karo ḳhudā-ḳhāna
taḌap jo ruuh meñ hogī to bandagī hogī
harīm-e-nāz ko sūrat-parast kyā jaane
adā-shanās faqat dil kī be-ḳhudī hogī
Top Urdushayar.com