ġham-e-āfāq meñ aarif agar karvaT badaltā hai
syāhī se qalam kī nuur kā mīnār Dhaltā hai
basīrat ho to har zarra tajallī-zār-e-sīnā hai
nigah tārīk ho to aa.ina zulmat ugaltā hai
huzūr-e-husn hotī hai kise dekheñ pazīrā.ī
sadā ibrat-asar dastūr-e-haq din-rāt chaltā hai
ḳhudā-āgāh kā har har nafas dars-e-tayaqqun hai
hayā-begāna taḳhrībī hamesha chaal chaltā hai
masāf-e-razm se hargiz na jā ā.īna-ḳhānoñ meñ
ḳhudā kā sher-dil āfāt ke qālib meñ Dhaltā hai
nigārish maqsad-e-taḳhlīq-e-barg-e-gul pe hai lekin
kise hai tāb-e-nazzāra charāġh-e-tūr jaltā hai
ḳhulūs-e-dil se bantā hai hisār-e-nār bhī jannat
ba-fazl-e-haq zamīn-e-shor se zamzam ubaltā hai
mazāq-e-sarfaroshī ḳhānqāhoñ se huā ruḳhsat
magar talvār kī mehrāb meñ sar-bāz paltā hai
zamāna mast-e-ishrat hai takalluf ke jahannam meñ
haram kā pāsbāñ but-ḳhāna-e-āzar meñ paltā hai
luTā dete haiñ almās-o-guhar sāhib-nazar hañs kar
sitāre Dūbte haiñ to koī sūraj nikaltā hai
baḌā daanā hai dīvāna kahīñ Thokar nahīñ khātā
añdherī raat hai lekin diyā to dil kā jaltā hai
sadāqat se lahak jaate haiñ tan-sāzoñ ke but-ḳhāne
ġhazal kī aag se faulād kā paikar pighaltā hai
tasarruf meñ shabistān-e-jahāñ hai ishq-o-mastī ke
zamāna so chukā hai faqr kā jaadū to chaltā hai
bahut dushvār hai chalnā sirāt-e-dīn-e-fitrat par
ḳhudā kī justujū meñ har nafas sho.ala ugaltā hai
tumhārī azmat-e-dastār to taslīm hai nāseh
kaleja rāh-e-haq meñ sher mardoñ kā dahaltā hai
ye ḳhatra hai na le Duube parastish tan kī murshid ko
charāġh islām kā īsār-o-qurbānī se jaltā hai
dil-e-nāzuk pe harf aa.e na un 'bebāk' mastoñ ke
muqaddar jin kī Thokar se zamāne kā badaltā hai