jigar-gudāz ma.ānī samajh sako to kahūñ
qazā-o-qadr-e-zamānī samajh sako to kahūñ
vajūd ā.ina-ḳhānoñ kā hai fanā-anjām
qazā-e-charḳh-e-dokhānī samajh sako to kahūñ
jabīn-e-vaqt kī tahrīr meñ nihāñ kyā hai
ḳhirad kī zahr-fishānī samajh sako to kahūñ
qazā kī god meñ hai hasratoñ kā gahvāra
zabān-e-ramz-e-nihānī samajh sako to kahūñ
bashar ke dīda-e-dil par hijāb-e-ġhaflat hai
fareb-e-husn-o-javānī samajh sako to kahūñ
jahāz-e-umr na jaane ruke kahāñ jā kar
muhīt-e-dil kī ravānī samajh sako to kahūñ
ḳhudā ke ba.ad bashar kā maqām azmat hai
tum apnī kuchh bhī kahānī samajh sako to kahūñ
ḳhizāñ-badosh chaman meñ bahār aa.ī hai
nizām-e-ālam-e-fānī samajh sako to kahūñ
vo harf-e-rāz jo lab tak kisī ke aa na sakā
hakīm-e-rāz kī baanī samajh sako to kahūñ
hayāt-e-chand-nafas par tafāḳhur-e-be-jā
har ek chiiz hai faanī samajh sako to kahūñ
muqāmirān-e-bisāt-e-havas agar tum kuchh
hadīs-faqr zabānī samajh sako to kahūñ
safīna aql kā 'bebāk' ġharq hai mutlaq
hai kitnā zarf meñ paanī samajh sako to kahūñ