Bebak  Bhojpuri

raaz hai ibrat-asar fitrat ki har tahrir ka

Bebak Bhojpuri

Bhojpur, Bihar, India

1919-1984
raaz hai ibrat-asar fitrat kī har tahrīr kā
mus.haf-e-nātiq kahāñ muhtāj hī tafsīr kā
ma.anī-e-qadr-o-qazā hai nau-bahār-e-lāla-rañg
har dil-e-zarra meñ hai jazba na.ī ta.amīr kā
hikmat-e-ādam se hai raushan shabistān-e-jahāñ
nafs-e-maqsad hai huvaidā ḳhāliq-e-taqdīr kā
kāvish-e-paiham se duniyā kī fazā jannat-adā
ye tasarruf hai bashar kī quvvat-e-tasḳhīr kā
daulat-e-kaunain musht-e-ḳhāk ke dāman meñ hai
aadmī me.amār hai āfāq kī taqdīr kā
bahr-e-imkā۔n meñ habāb-āsā hai kashtī-e-vajūd
naqsh-e-fānī har tamavvuj sail-e-āfat-gīr kā
paikar-e-ḳhākī jahān-e-maḳhzan-e-asrār hai
aadmī shahkār hai allāh kī taqdīr kā
ḳhuun se majbūr ke dasht-e-jahāñ jannat-badosh
shiddat-e-mehnat se dilkash rañg hai tasvīr kā
nāla-e-bulbul se fasl-e-gul garebāñ chaak hai
ġhuncha ġhuncha said hai bād-e-sahar ke tiir kā
maujzan hai qatra-e-shabnam meñ sail-e-zindagī
zarra-e-kamtar hai mehvar mehr-e-pur-tanvīr kā
iztirāb-e-shauq meñ dil haath se jaatā rahā
ye asar hai ham-nashīñ taqrīr-e-pur-tāsīr kā
nashtar-e-vahshat nafas mauj-e-nafas kī sar-kashī
ālam-e-ta.azīr hai dozaḳh mirī taqsīr kā
faqr par īsār se haiñ mutma.in rūh-o-zamīr
dard-e-dil hai ḳhaas maḳhzan ishq kī jāgīr kā
zarre zarre se hai zāhir shāhid-e-har-do-jahāñ
aa.ina 'bebāk' dil hai ḳhāliq-e-taqdīr kā
Top Urdushayar.com