kyā jaano jo asar hai dam-e-sho.ala-tāb meñ
ye vo hai barq aag lagā de naqāb meñ
haal is nigah kā us ke sarāpe meñ kyā kahūñ
mor-e-za.īf phañs ga.ī jā shahd-e-nāb meñ
zikr-e-vafā vo sunte hī majlis se uTh ga.e
kuchh guftugū hī Thiik na thī aise baab meñ
kyā pūchhte ho chāra-e-hū az-ḳhvesh-e-raftagāñ
so jā se chaak jaama hai sozan ḳhullāb meñ
āvāz-e-sūr tere shahīdoñ ko roz-e-hashr
lagtī thī ik bhanak sī to kānoñ ko ḳhvāb meñ
jo dekhte hī us se ye guzrā kabhū nahīñ
yāqūb ke ḳhayāl o zuleḳhā ke ḳhvāb meñ
har har ro.eñ se ḳhirqa ke mere hai ḳhūñ-chakāñ
ġhote to sau diye use zamzam ke aab meñ
is chashm-e-ashk-bār ke kyūñkar ho sāmne
rone kā mādda hī nahīñ hai sahāb meñ
qismat to dekh kholī girah kuchh to rah ga.e
nāḳhun hamāre TuuT ke band-e-naqāb meñ
har-vaqt ārzū-e-azāb-e-jahīm hai
hāthoñ se hijr ke huuñ maiñ kyā kyā azaab meñ