baḳht kyā jaane bhalā yā ki burā hotā hai
kaif-o-ġham zarf ke laa.eq hī atā hotā hai
ye vo bāzār-e-kashākash hai jahāñ par insāñ
hasb-e-taufīq ḳharīdār-e-hayā hotā hai
muddatoñ rahtā hai jab aadmī zahmat-ba-kanār
rāz-e-sar-basta mahākāt kā vā hotā hai
dil hai dozaḳh meñ kuchh is tarah tabassum-bar-lab
jaise kāñToñ meñ koī phuul khilā hotā hai
be-talab roz atā kartā hai kāñToñ ko lahū
kitnā īsār-pasand ābla-pā hotā hai
sab ko pairāhan-e-gul kī hai tamannā lekin
har nafas aish kā paiġhām-e-qazā hotā hai
ātish-e-batn meñ gal jaate haiñ ḳhud-kām shuyūḳh
sāhab-e-dard parastār-e-ḳhudā hotā hai
terī rahmat se hai mahfūz anishshar banda
varna insān to tasvīr-e-ḳhatā hotā hai
pahlū-e-zarra meñ pinhāñ hai jahān-e-ma.anī
resha-e-sañg meñ ā.īna-sarā hotā hai
ain ġhurbat meñ nikhartā hai ḳhudī kā jauhar
naḳhl-e-ausāf lahū pī ke harā hotā hai
sabr kī shāḳh meñ lagtā hai vo mīThā meva
sab se duniyā meñ alag jis kā mazā hotā hai
ham faqīroñ ko sahāre kī zarūrat kyā hai
be sahāroñ kā sahārā to ḳhudā hotā hai
terā har sher hai 'bebāk' amal kī dāvat
yā koī mūsī-e-imrāñ kā asā hotā hai