raunaq faroġh-e-dard se kuchh anjuman meñ hai
ḳhūn-e-jigar ġharīb kā har bāñkpan meñ hai
dīvāna zindagānī kā detā hai yuuñ subūt
bāhar lahad se hai kabhī ḳhūnīñ kafan meñ hai
dil ke lahū se ruuh kī hotī hai parvarish
me.arāj āgahī kī vafūr-e-mehan meñ hai
har buuñd nok-e-kilk kī detī hai dars-e-hosh
kaunain kā surāġh bhī batn-e-suḳhan meñ hai
do yak nafas hai ḳhema-e-gul kā fareb-rañg
ibrat-farosh ḳhaar bhī sehn-e-chaman meñ hai
āfāq-sāz maz.hab-e-īsār phir se DhūñD
ik la.al-e-shab-charāġh bhī tāq-e-kuhan meñ hai
yaaro suḳhan barā-e-suḳhan mutlaqan abas
paiġhām-e-hast-o-būd kahīñ fikr-o-fan meñ hai
iḳhlās dil kā rahmat-e-bārī se kar talab
raushan charāġh-e-adl kahāñ anjuman meñ hai
bū-zar kā faqr hazrat-e-fārūq kā mizāj
asnām-sāz qaum ke sheḳh-e-zaman meñ hai
saudā-garī se maanā ki hāsil hai kuchh vaqār
sāmān-e-mufsidāt bhī taz.īn-e-tan meñ hai
asr-e-ravāñ ke log haiñ āvārgī-pasand
fitna bhī hirs-o-āz kā ḳhizr-e-zaman meñ hai
shabnam se pañkhuḌī bhī sulagtī hai phuul kī
nairañgī-e-ḳhizāñ bhī bahār-e-chaman meñ hai
faizān-e-irtiqā se janāza ḳhulūs kā
ḳhair-ul-umam ke dosh pe shahr-e-zaman meñ hai
jamhūriyat bhī turfa-tamāsha kā kis qadar
lauh-o-qalam kī jaan yad-e-aharman meñ hai
is iftirā pe dījiye kuchh muftarī ko daad
jannat agar kahīñ hai to mere vatan meñ hai
jaane kise nasīb ho 'bebāk' āgahī
nāqid jadīd daur kā taḳhmīn-o-zan meñ hai