hai muft dil kī qīmat agar ik nazar mile
ye vo matā.a hai ki na leñ muft agar mile
insāf kar ki lā.ūñ maiñ phir kaun sā vo din
mahshar ke roz bhī na jo dād-e-jigar mile
parvāna-vār hai had-e-parvāz sho.ala tak
jalne hī ke liye mujhe ye bāl-o-par mile
aane se ḳhat ke jaate rahe vo bigāḌ sab
ban aa.ī ab to hazrat-e-dil lo ḳhizr mile
kyā shukr kā maqām hai marne kī jaahe dil
kuchh muztarib se aaj vo bairūn-e-dar mile
aalam ḳharāb hai na nikalne se aap ke
niklo to dekho ḳhaak meñ kyā ghar ke ghar mile
hai shām-e-hijr aaj o zālim o falak
gardish vo kar ki shaam se aa kar sahar mile
go paas ho pa chain to hai is bigāḌ meñ
kyā lutf thā laḌe vo idhar aur udhar mile
dil ne milā diiñ ḳhaak meñ sab vaz.a-dāriyāñ
juuñ juuñ ruke vo milne se ham beshtar mile
TuuTe ye baḳhiya zaḳhm kā hamdam kahīñ se lā
ḳhanjar mile kaTār mile neshtar mile
thā asl maiñ murād Dubonā jahān kā
qābil samajh ke goyā hameñ chashm-e-tar mile
us kī galī meñ le ga.e 'āzurdā' ko ise
dī thī duā ye kis ne ki jannat meñ ghar mile