Rangin Saadat Yaar Khan

hamdamo kya mujhko tum un se mila sakte nahin

Rangin Saadat Yaar Khan

Sarhind, Punjab, India

1756-1835
hamdamo kyā mujh ko tum un se milā sakte nahīñ
maiñ to jā saktā huuñ vaañ gar yaañ vo aa sakte nahīñ
sharm hai un ko bahut har-dam chimaTne se mire
vo taḌapte haiñ va-lekin ġhul machā sakte nahīñ
haath meñ hai haath aur koī nahīñ hai ās-pās
vo to haiñ qaabū meñ par ham jī chalā sakte nahīñ
chaudhvīñ hai raat aur chhiTkī huī hai chāñdnī
ham kamand ab un ke koThe par lagā sakte nahīñ
kyuuñ miyāñ-'rañgīñ' bhalā ab is zamīñ meñ soch se
kyā ġhazal tum hasb-e-hāl apnī sunā sakte nahīñ
bas maiñ haiñ vo ġhair ke ham ko bulā sakte nahīñ
aur ham us jā kisī sūrat se jā sakte nahīñ
ham ko un se un ko ham se jitnī ulfat hai use
vo ghaTā sakte haiñ lekin ham ghaTā sakte nahīñ
ġhair se ham ko dilāte haiñ vo lākhoñ gāliyāñ
pichhlī bāteñ yaad ham un ko dilā sakte nahīñ
but bane haiñ yuuñ to ham bāteñ banāte haiñ hazār
baat lekin vasl kī aslan batā sakte nahīñ
Top Urdushayar.com