us ke kūche meñ bahut rahte haiñ dīvāne paḌe
un meñ dekhā to miyāñ-'rañgīñ' na pahchāne paḌe
maiñ safar meñ huuñ aur us ko ġhair bahkāte haiñ vaañ
mujh ko ab kāġhaz ke ghoḌe yaañ se dauḌne paḌe
sāqiyā terī nigāh-e-nāz ke baa.is se dekh
jaam o ḳhum auñdhe haiñ aur talpaT haiñ paimāne paḌe
dostoñ ke kahne sunñe se mujhe majbūr ho
zaḳhm-e-dil jarrāh ko ai vaa.e dikhlāne paḌe
ab ġhazal ik aur 'rañgīñ' tū badal kar likh radīf
qāfiya phir ye mukarrar tujh ko kah jaane paḌe