merī iizā meñ ḳhushī jab aap kī paate haiñ log
to mujhe kis kis tarah se aa ke dhamkāte haiñ log
haath kyā aatā hai un ke kuchh nahīñ ma.alūm kyuuñ
mujh ko tum se aur tum ko mujh se chhuḌvāte haiñ log
ek to kuchh jī hī jī meñ ruk rahe haiñ mujh se vo
dūsre jā jā ke un ko aur bhaḌkāte haiñ log
mere un ke sulh az-bas ḳhalq ko hai nāgavār
vo to haiñ kuchh sard lekin un ko garmāte haiñ log
raat aur din soch rahtā yahī 'rañgīñ' mujhe
maiñ to sab se raast huuñ kyuuñ mujh se bal khāte haiñ log