ham juuñ chakor ġhash haiñ ajī ek yaar par
bulbul kī tarah jī nahīñ dete hazār par
gar jī meñ kuchh nahīñ hai to dekhe hai kyuuñ mujhe
uñglī ko pher pher ke teġhe kī dhaar par
pā-bos-e-yār kī hameñ hasrat hai ai nasīm
āhista ā.īyo tū hamāre mazār par
ruḳhsār par numūd huā ḳhat ḳhabar bhī hai
ya.anī kamar kasī hai ḳhizāñ ne bahār par
'rañgīñ' to le ke baiThe haiñ asbāb-e-aish sab
aave ba-shart-e-yār bhī apne qarār par