Mufti Sadruddin Aazurda

aankh uThai nahin wo samne sau bar hue

Mufti Sadruddin Aazurda

Delhi, India

aañkh uThā.ī nahīñ vo sāmne sau baar hue
hijr meñ aise farāmush-gar-e-dīdār hue
kāmil us firqa-e-zuhhād meñ uThā na koī
kuchh hue to yahī rindān-e-qadah ḳhvār hue
na uThī baiTh ke ḳhaak apnī tire kūche meñ
ham na yaañ dosh-e-havā ke bhī kabhī yaar hue
sub.h le aa.ina us but ko dikhāyā ham ne
raat aġhyār se milne ke jo inkār hue
kuchh ta.ajjub nahīñ gar ab ke falak TuuT paḌe
aaj naale jo koī aur bhī do-chār hue
misr meñ aaj tujhe dekh ke pachhtā.e haiñ
sāda-lauhī se jo yūsuf ke ḳharīdār hue
mubtazil maiñ hī to huuñ aap jo kahiye sach hai
raat jhagḌe to mujhī par sar-e-bāzār hue
ye haiñ 'āzurdā' jo kahte hue shai.an-allāh
aaj daryūza-gar-e-ḳhāna-e-ḳhummar hue
Top Urdushayar.com