ġhair kī ḳhātir se tum yāroñ ko dhamkāne lage
aa ke mere rū-ba-rū talvār chamkāne lage
jī meñ kyā guzrā thā kal jo aap rakh qabze pe haath
ḳhuub sā ghūre mujhe aur tan ke bal khāne lage
dil talab mujh se kiyā maiñ ne kahā hāzir nahīñ
ye ġhazab dekho machal kar paañv phailāne lage
qatl kar kar ye nahīñ ma.alūm kyā guzrā ḳhayāl
dekh vo bismil mujhe kuchh haif sā khāne lage
yaar mujh ko dekh zā ronā to un sā hijr meñ
mushfiqāna kuchh nasīhat jabki farmāne lage
jal ke 'rañgīñ' maiñ ne ye misra.a 'tajallī' kā paḌhā
''dil ko samjhāo mujhe kyā aa ke samjhāne lage''