Mufti Sadruddin Aazurda

agar hum na the gham uThane ke qabil

Mufti Sadruddin Aazurda

Delhi, India

agar ham na the ġham uThāne ke qābil
to kyuuñ hote duniyā meñ aane ke qābil
karūñ chaak siina to sau baar lekin
nahīñ daaġh dil ye dikhāne ke qābil
mileñ tum se kyūñkar rahe hī nahīñ ham
bulāne ke qābil na aane ke qābil
chhuTe bhī qafas se to kis kaam ke haiñ
nahīñ jab chaman tak bhī jaane ke qābil
ba-juz us ke the ḳhaak pahle bhī ai charḳh
na the ḳhaak meñ phir milāne ke qābil
kiyā tark-e-duniyā maiñ jab to ye samjhe
ki duniyā nahīñ dil lagāne ke qābil
vo aa.e dam-e-naz.a kyā kah sakeñ
nahīñ hoñT tak bhī hilāne ke qābil
ḳhudāyā ye rañj aur ye nā-subūrī
na the ham to is āzmāne ke qābil
rahe ham na kuchh mustafā-ḳhāñ ke ġham meñ
na fikr-e-suḳhan ne paḌhāne ke qābil
na chhoḌeñge mahbūb-e-ilāhī ke dar ko
nahīñ go ham is āstāne ke qābil
hameñ qaid karne se kyā naf.a sayyād
na the daam meñ ham to laane ke qābil
na baal munaqqash na par-hā-e-rañgīñ
na āvāz-e-ḳhush ke sunāne ke qābil
hue haiñ vo nā-qqabiloñ meñ shumār ab
jinheñ mānte the zamāne ke qābil
vo 'āzurdā' jo ḳhush-bayāñ the nahīñ ab
ishāre se bhī kuchh batāne ke qābil
Top Urdushayar.com