ḳhayāl us kā kahāñ se kahāñ nahīñ jaatā
vahāñ bhī jaa.e ki jis jā gumāñ nahīñ jaatā
bas apne baaġh meñ mahv-e-ḳhirām rahtā hai
ki ḳhud se duur vo sarv-e-ravāñ nahīñ jaatā
hijāb us ke mire biich agar nahīñ koī
to kyuuñ ye fāsla-e-darmiyāñ nahīñ jaatā
koī Thahartā nahīñ yuuñ to vaqt ke aage
magar vo zaḳhm ki jis kā nishāñ nahīñ jaatā
na jaane us kī zabāñ meñ hai kyā asar 'farruḳh'
ki us se ho ke koī bad-gumāñ nahīñ jaatā