abas hī mahv-e-shab-o-roz vo duā meñ thā
ilaaj us kā agar dard-e-lā-davā meñ thā
ye aur baat ki vo tishna-e-javāb rahā
savāl us kā magar gūñjtā fazā meñ thā
hameñ ḳhabar thī ki us kā javāb kyā hogā
magar vo lutf jo iz.hār-e-mudda.ā meñ thā
yaqīñ kareñ ki yahīñ koī jaise kahtā ho
ki jo bhī dekhā sunā thā vo sab havā meñ thā
ham apne-āp ko kyā kuchh nahīñ samajhte the
magar khulā ki safar ḳhvāb aur ḳhalā meñ thā
ḳhud apne aks-e-gunah kā thā sāmnā us ko
tamām umr vo ā.īnā-e-sazā meñ thā