Farrukh Jafari

raushni se kis tarah parda karenge

Farrukh Jafari

raushnī se kis tarah pardā kareñge
āḳhir-e-shab sochte haiñ kyā kareñge
vo sunahrī dhuup ab chhat par nahīñ hai
ham bhī ā.īñe ko ab andhā kareñge
jism ke andar jo sūraj tap rahā hai
ḳhuun ban jaa.e to phir ThanDā kareñge
ghar se vo nikle to bus-stand tak hī
us kā saaya ban ke ham pīchhā kareñge
aañkh pathrā jā.egī ye jānte haiñ
phir bhī is manzar meñ ham khoyā kareñge
Top Urdushayar.com