Farrukh Jafari

rah-e-gum-karda sar-e-manzil bhaTak kar aa gaya

Farrukh Jafari

rāh-e-gum-karda sar-e-manzil bhaTak kar aa gayā
sub.h kā bhūlā thā lekin shaam ko ghar aa gayā
jaise us ko rok saknā apne bas meñ hī nahīñ
jab bhī chāhā be-ijāzat ghar ke andar aa gayā
bhaag kar jaa.eñ kahāñ ab tū hī kuchh tadbīr kar
sāmne apne samundar sar pe lashkar aa gayā
us ne koshish to bahut kī sar bachāne kī magar
jis taraf se thā nahīñ andesha patthar aa gayā
ham na kahte the ki 'farruḳh' aadmī achchhā nahīñ
dekh tujh ko bhī yaqīñ ab is se mil kar aa gayā
Top Urdushayar.com