koī mausam ho kuchh bhī ho safar karnā hī paḌtā hai
idhar se bojh kāñdhe kā udhar karnā hī paḌtā hai
kahāñ jaate haiñ kyā karte haiñ kis ke saath rahte haiñ
hameñ apnā ta.āqub umr bhar karnā hī paḌtā hai
vo apne tan pe sah kar ho ki apnī jaan par phir bhī
hameñ ik ma.arka har roz sar karnā hī paḌtā hai
khulā rakkheñ na rakkheñ ghar kā darvāza magar 'farruḳh'
safar āñkhoñ ko tā-hadd-e-nazar karnā hī paḌtā hai