Farrukh Jafari

yun musallat to dhuan jism ke andar tak hai

Farrukh Jafari

yuuñ musallat to dhuāñ jism ke andar tak hai
dastaras aañkh kī lekin kisī manzar tak hai
muḌ ke dekhūñ to ta.āqub meñ vahī saaya ho
bhuul jā.ūñ mire hamrāh koī ghar tak hai
maiñ ki vīrān jazīra huuñ basā de mujh ko
ai ki aqlīm tirī saat samundar tak hai
us ke aage mujhe be-samt-o-nishāñ jaanā thā
maiñ ne samjhā thā safar āḳhirī patthar tak hai
Top Urdushayar.com