kaTī pahāḌ sī shab intizār karte hue
huī tamām sahar āh-e-sard bharte hue
the us ke haath lahū meñ hamāre ġharq magar
zarā bhī sharm na aa.ī use mukarte hue
havā chalī to pareshāñ hue shajar aurāq
magar na the vo hamārī tarah bikharte hue
kabhī udhar se jo guzreñ to yaad aatā hai ye
ki us ko dekhtā thā us raah se guzarte hue
hamesha soch meñ Duubā huā vo ham ko milā
kabhī to dekhte 'farruḳh' ko ham ubharte hue