ab ke junūñ huā to garebāñ ko phaaḌ kar
duniyā ko chhoḌ jā.ūñgā dāman ko jhaaḌ kar
ye aa.ina fareb-e-nazar hai bahut na dekh
ik roz tujh ko pesh karegā bigāḌ kar
mehmāñ sarā.e-jāñ meñ koī Thertā nahīñ
jab se chalā gayā use koī ujaaḌ kar
'farruḳh' havā hai tez qadam ko jamā ke rakh
varna ye pheñk degī tujhe bhī ukhāḌ kar