mas.ala ye hai ki us ke dil meñ ghar kaise kareñ
darmiyāñ ke fāsle kā tai safar kaise kareñ
koī suntā hī nahīñ arz-e-hunar kaise kareñ
ḳhud ko ham apnī nazar meñ mo'tabar kaise kareñ
āḳhirī patthar se be-samt-o-nishāñ jaanā hai ab
ham khulī āñkhoñ se ye andhā safar kaise kareñ
jaan ke jaane kā andesha bahut hai ab kī baar
ma.arka bhī āḳhirī karnā hai sar kaise kareñ
kuchh dinoñ kī baat ho to kaaT deñ āñkhoñ meñ raat
niiñd agar aa.e na 'farruḳh' umr bhar kaise kareñ