tamām pheñke ga.e pattharoñ pe bhārī thā
vo ek phuul akelā sabhoñ pe bhārī thā
na mujh se dil ne batāyā na maiñ ne hī jaanā
vo kaisā ġham thā jo saare ġhamoñ pe bhārī thā
maiñ un kī rah se guzartā na thā magar phir bhī
mirā vajūd mire dushmanoñ pe bhārī thā
agarche baiThā thā maiñ un ke darmiyāñ ḳhāmosh
mirā sukūt magar shā.iroñ pe bhārī thā
vo jis kā koī na thā duur ik ḳhudā ke sivā
zamīñ kā bojh na 'farruḳh' diloñ pe bhārī thā