thā abas ḳhauf ki āseb-e-gumāñ maiñ hī thā
mujh meñ saaya sā koī aur kahāñ maiñ hī thā
sab ne dekhā thā kuchh uThtā huā mere ghar se
phailtā aur bikhartā vo dhuāñ maiñ hī thā
sach thā vo zahr gavārā hī kisī ko na huā
talḳhī-e-zā.iqa-e-kām-o-ziyāñ maiñ hī thā
ḳhud hī pyāsā thā bhalā pyaas bujhātā kis kī
sar pe sūraj ko liye abr-e-ravāñ maiñ hī thā
dar pe ik qufl-e-pur-asrār paḌā thā 'farruḳh'
bhed khultā bhī to kaise ki makāñ maiñ hī thā