go is safar meñ thak ke badan chuur ho gayā
maiñ us kī dastaras se magar duur ho gayā
ab us kā naam le ke pukāreñ use kahāñ
sahrā bhī ab to ḳhalq se ma.amūr ho gayā
kyuuñ us ne haath khīñch liyā mere qatl se
kyuuñ mujh pe rahm khā ke vo maġhrūr ho gayā
sab apne apne ghar meñ nazar-band ho ga.e
ab shahr pur-sukūn hai mash.hūr ho gayā
qismat ne lā ke us ko khaḌā kar diyā kahāñ
ā.īna dekhne pe vo majbūr ho gayā