pilā sāqiyā mai-ḳhunuk aab meñ
ki thamtī nahīñ tauba mahtāb meñ
gayā diin kaisā huzūr-e-namāz
vo yaad aa.e abrū jo mehrāb meñ
mile kuchh to zaḳhm-e-jigar kā maza
bujhā kar rakhā teġh zahrāb meñ
ilāhī falak jis se phaT jaa.e de
vo tāsīr āh-e-jigar-tāb meñ
buland āshiyānoñ pe bijlī girī
jo nīche the Duube vo sailāb meñ
vo uryāñ meñ sarmā meñ thī jin kī shab
guzartī samor aur sanjāb meñ
na aa.e hoñ āzurda lenā ḳhabar
paḌī dhuum ye saare punjab meñ