ye kah ke raḳhna Dāliye un ke hijāb meñ
achchhe bure kā haal khulegā naqāb meñ
yārab vo ḳhvāb haq meñ mire ḳhvāb-e-marg ho
aa.e vo mast ḳhvāb agar mere ḳhvāb meñ
tahqīq ho to jānūñ ki maiñ kyā huuñ qais kyā
likkhā huā hai yuuñ to sabhī kuchh kitāb meñ
maiñ aur zauq-e-bāda-kashī le ga.iiñ mujhe
ye kam-nigāhiyāñ tirī bazm-e-sharāb meñ
haiñ donoñ misl-e-shīsha pa sāmān-e-sad-shikast
jaisā hai mere dil meñ nahīñ hai habāb meñ
ye umr aur ishq hai 'āzurdā' jā-e-sharm
hazrat ye bāteñ phabtī thiiñ ahd-e-shabāb meñ