āñkhoñ āñkhoñ meñ mohabbat kā payām aa hī gayā
marhabā izn-e-vidā-e-nañg-o-nām aa hī gayā
āfiyat ke naam vahshat kā payām aa hī gayā
lo ye afsāna qarīb-e-iḳhtitām aa hī gayā
kam se kam jazb-e-vafā itnā to kaam aa hī gayā
be-irāda un ke lab par merā naam aa hī gayā
shaiḳh kā sab zohd-o-taqvā aaj kaam aa hī gayā
jab vo mīnā-e-ravāñ sahbā ba-jām aa hī gayā
mai-kade meñ jaane kyā kyā gul khilāte shaiḳh-jī
vo to rindoñ ko ḳhayāl-e-ehtirām aa hī gayā
umr-bhar jis ke liye āñkheñ rahī haiñ farsh-e-rāh
vo ajal kā qāsid-e-farḳhanda-gām aa hī gayā
naaz the kyā kyā urūj-e-nayyar-e-iqbāl par
dopahar ke ba.ad dekhā vaqt-e-shām aa hī gayā
alvidā.a ai zo.am-e-hastī al-firāq ai vahm-e-zīst
maut ban kar muzhda-e-umr-e-davām aa hī gayā
zabt-e-rāz-e-ġham pe sau jāneñ bhī kar dete nisār
kyā batā.eñ bas zabāñ par un kā naam aa hī gayā
husn ne bhī karvaTeñ badlī haiñ ai dil rāt-bhar
terī peshānī se dāġh-e-nañg-e-ḳhām aa hī gayā
jab kahīñ lutf-e-suḳhan kī baat aa.ī hai 'rashīd'
e.atibārul-mulk kā har lab pe naam aa hī gayā