Rashid Shahjahanpuri

shama mein soz ki wo KHu hai na parwane mein

Rashid Shahjahanpuri

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1913-1980
sham.a meñ soz kī vo ḳhū hai na parvāne meñ
jo hai ai barq-shamā.il tire dīvāne meñ
lutf thā zikr-e-dil-soḳhta dohrāne meñ
soz hai saaz kahāñ tuur ke afsāne meñ
thā jo us chashm-e-fusūñ-sāz ke paimāne meñ
kaif vo DhūñDiye ab kaun hai maiḳhāne meñ
vāsta dast-e-nigārīñ kā tujhe ai qātil
ek surḳhī kī kamī hai mire afsāne meñ
jo kabhī thā vahī hai aaj bhī afsāna-e-ishq
ek do lafz badal jaate haiñ dohrāne meñ
maut bhī munhasir in kī nigah-e-nāz pe thī
ab nahīñ koī kamī ishq ke afsāne meñ
vahī shai jo abhī miinā meñ thī ik mauj-e-nashāt
vahī tūfān-e-tarab ban ga.ī paimāne meñ
qaul vaa.iz kā bajā shaiḳh kī talqīn durust
dil-e-kāfir kahīñ aa.e bhī to samjhāne meñ
qaid-e-hastī ko samajhtā hai junūñ kī tauhīn
ab to kuchh hosh ke andāz haiñ dīvāne meñ
shukr ban jaate haiñ aate hī zabāñ tak shikve
jaane kyā baat hai us aañkh ke sharmāne meñ
kis tarah hazrat-e-vā.iz ko ye samjhā.ūñ 'rashīd'
riñd kyā dekh liyā karte haiñ paimāne meñ
Top Urdushayar.com