zikr-e-tūfāñ bhī abas hai mutma.in hai dil mirā
nāḳhudā tum ho to phir dariyā mirā sāhil mirā
rahnumā-e-zindagī hai iztirāb-e-dil mirā
chal rahā hai kārvāñ manzil pas-e-manzil mirā
qissa-e-mansūr ho yā dāstān-e-kohkan
jo fasāna dekhiye ik baab hai shāmil mirā
mil rahā hai zindagī ko aaj unvāñ sahī
munfa.il kyuuñ ho nasīb-e-dushmanāñ qātil mirā
chand zarre ḳhāk-e-ādam se azal meñ bach ga.e
fitrat-e-ma.asūm ne in se banāyā dil mirā
āfiyat hai merī fitrat ke munāfī ai 'rashīd'
varna aayā thā safīna jānib-e-sāhil mirā