Rashid Shahjahanpuri

jis ko dekho ehtisab-e-zist se ghafil hai aaj

Rashid Shahjahanpuri

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1913-1980
jis ko dekho ehtisāb-e-zīst se ġhāfil hai aaj
ranj-e-māzī hai na fikr-e-hāl-o-mustaqbil hai aaj
marhabā sad marhabā jazb-e-vafā kāmil hai aaj
vo adā-e-be-niyāzī ġham-gusār-e-dil hai aaj
apne haq meñ mā.il-e-lutf-o-karam qātil hai aaj
har adā-e-ḳhashmagīñ himmat fazā-e-dil hai aaj
bazm-e-azā banī huī hai bazm-e-zauq-o-zauq
daur-e-nashāt mojib-e-daurān-e-sar hai aaj
mauqūf hai laboñ kī tabassum se rasm-o-rāh
āh-o-fuġhāñ vazīfa-e-shām-o-sahar hai aaj
jab tum hamāre ho na sake ham nahīñ rahe
lo dāstān-e-meh-e-vafā muḳhtasar hai aaj
Top Urdushayar.com