Chandni Pandey

jale charagh bujhane ki zid nahin karte

Chandni Pandey

Jabalpur, Madhya Pradesh, India

1974
jale charāġh bujhāne kī zid nahīñ karte
ab aa ga.e ho to jaane kī zid nahīñ karte
kisī kī aañkh meñ aañsū hameñ pasand nahīñ
diloñ ke zaḳhm dikhāne kī zid nahīñ karte
tumhāre naam kā bhī zikr ho na jaa.e kahīñ
ġhazal ke sher sunāne kī zid nahīñ karte
hamāre saa.e bhī raste meñ chhoḌ jaate hai
hamārā saath nibhāne kī zid nahīñ karte
ḳhalā meñ koī imārat kabhī nahīñ Tiktī
vahāñ makān banāne kī zid nahīñ karte
ye shahr-e-sañg hai patthar ke log rahte haiñ
yahāñ pe phol khilāne kī zid nahīñ karte
zamīn jaisā kahīñ chāñd bhī na ho jaa.e
zamīñ pe chāñd ko laane kī zid nahīñ karte
Top Urdushayar.com