mukaddar hī thā kuchh aisā hamārā
safar kaTtā rahā tanhā hamārā
ka.ī chehroñ kā ġham hai is meñ shāmil
hamārā hai kahāñ chehra hamārā
vo bhūle aur ham bhūle na un ko
ta.alluq hai yahī un kā hamārā
hameñ manzil pe aa kar ye ḳhalish hai
palaT jaate to kyā jaatā hamārā
nibhāne kī musalsal koshishoñ meñ
bigaḌtā hī gayā rishta hamārā
chiḌhātā hai koī lahroñ ko aksar
banā kar ret par naqsha hamārā
hai apnī 'chāñdnī' hī chaar din kī
bigāḌegī hī kyā duniyā hamārā