zindagī kī yahī kahānī hai
saañs aanī hai aur jaanī hai
tum jo hote to baat kuchh hotī
ab ki bārish to sarf paanī hai
ik taraf us kī boltī āñkheñ
ik taraf merī be-zabānī hai
yuuñ hī sunte raheñ agar dil kī
yaad rakhiye ki jaan jaanī hai
dhuup lagtī hai bādalo jaisī
ye mohabbat kī sā.ebānī hai
bahtī jaatī huuñ ik samundar meñ
us kī yaado kī bādbānī hai
har taraf ḳhaar ḳhaar hai gulshan
bāġhbāñ ḳhuub bāġhbānī hai
āshnā huuñ maiñ ab sarāboñ se
maiñ ne sahrā kī ḳhaak chhānī hai
'chāñdnī' kī ghazal-vazal sāhab
us ke ḳhvāboñ kī tarjumānī hai