Chandni Pandey

hamein barbaadiyon pe muskurana KHub aata hai

Chandni Pandey

Jabalpur, Madhya Pradesh, India

1974
hameñ barbādiyoñ pe muskurānā ḳhuub aatā hai
añdherī raat meñ dīpak jalānā ḳhuub aatā hai
ġhalat-fahmī tumheñ kuchh aur aatā ho na aatā ho
achānak aag paanī meñ lagānā ḳhuub aatā hai
zarā sī baat pe dīvār khiñchvāne lagā hai vo
use bhī raa.ī kā parbat banānā ḳhuub aatā hai
tire har jhūTh ko sach maan lete haiñ hamesha ham
hameñ bhī rasm-e-ulfat ko nibhānā ḳhuub aatā hai
kisī ke sāmne sar ko jhukāte ham nahīñ lekin
ḳhudā ke sāmne sar ko jhukānā ḳhuub aatā hai
tumhāre ġham ne hī baḳhshī hai ham ko ye hunar-mandī
hameñ ashko ko ab motī banānā ḳhuub aatā hai
Top Urdushayar.com