Chandni Pandey

ye mohabbat jo mohabbat se kamai hui hai

Chandni Pandey

Jabalpur, Madhya Pradesh, India

1974
ye mohabbat jo mohabbat se kamā.ī huī hai
aag siine meñ usī ne to lagā.ī huī hai
ik vahī phuul mayassar na huā dāman ko
jis kī ḳhushbū merī rag rag meñ samā.ī huī hai
jab bhī āñkhoñ ne sajā.e hai tumhāre sapne
zehn aur dil meñ bahut der laḌā.ī huī hai
dil kī chaukhaT pe jalā rakkhe hai āñkhoñ ne charāġh
kis kī aamad kī abhī aas lagā.ī huī hai
us kī yaado se munavvar hai mire dil kā jahāñ
āñso.oñ se merī āñkhoñ kī safā.ī huī hai
ai mohabbat tere chehre pe udāsī kyuuñ hai
jaise ek tū hī zamāne kī satā.ī huī hai
jis kī kirnoñ se jhulas jaate haiñ raushan chehre
chāñdnī bhī usī sūraj kī banā.ī huī hai
Top Urdushayar.com