vo kaash maan letā kabhī ham-safar mujhe
to rāsto ke pech kā hotā na Dar mujhe
be-shak ye aa.ina mujhe jī bhar sañvār de
par dekhtī nahīñ hai ab us kī nazar mujhe
dīvār jo girī hai to ilzām kis ko duuñ
merī ḳhushī hī laa.ī thī sājan ke ghar mujhe
māyūsiyoñ ne shakl kī rañgat bigāḌ dī
pahchāntā nahīñ hai mirā hī nagar mujhe
aa.ī thī is taraf to kyuuñ mujh se milī nahīñ
ab ke bahār lag rahī hai muḳhtasar mujhe
maiñ 'chāñdnī' huuñ nuur hai mujh se jahān meñ
dikhlā rahā hai kaun añdhere kā Dar mujh