mujhe talāsh thī jis kī vahī kabhī na milī
har ek chiiz milī ek zindagī na milī
tirī talāsh meñ pairoñ meñ paḌ ga.e chhāle
magar ai manzil-e-maqsūd tū kabhī na milī
ḳhushī se dostī merī bhī thī magar ik din
ḳhafā huī vo kuchh aisī ki phir kabhī na milī
vo jis charāġh ke dam se makān raushan thā
usī charāġh ko ḳhud apnī raushnī na milī
tumhāre hijr meñ aisā bhī vaqt aayā hai
badan TaTol ke dekhā to nabz hī na milī
ye jism hai ki faqat shor gul hai sāñsoñ kā
ye aañkh hai ki koī ḳhvāb dekhtī na milī
dil-o-dimāġh pe haavī rahā ġham-e-daurāñ
ḳhushī ke saath bhī rah kar mujhe ḳhushī na milī
mujhe na mil sakā sūraj mire mukaddar kā
tirā nasīb tujhe merī 'chāñdnī' na milī