Chandni Pandey

umr ke lambe safar se tajraba aisa mila

Chandni Pandey

Jabalpur, Madhya Pradesh, India

1974
umr ke lambe safar se tajraba aisā milā
dhuup jab bhī sar pe aa.ī lāpatā saaya milā
dekhnā hai aks mujh ko apnā puurā hī magar
jab milā vo aa.ina mujh ko zarā TuuTā milā
hañste chehroñ kī kahānī jāntī huuñ ḳhuub maiñ
jis ko bhī parkhā vahī TuuTā milā bikhrā milā
jal rahe the paañv ik muddat se rāhat ke liye
jis taraf bhī maiñ ga.ī taptā huā sahrā milā
raat din māñgā duā jis ham-safar ke vāste
mere jīte-jī vo merā marsiya paḌhtā milā
ye safar maiñ ne akele hī kiyā hai 'chāñdnī'
ham-safar mujh ko kahāñ koī mire jaisā milā
Top Urdushayar.com