fasāna-e-dard-e-ishq unvāñ badal badal kar sunā rahā huuñ
jigar jigar meñ utar rahā huuñ nazar nazar meñ samā rahā huuñ
harīm-e-nāz-o-niyāz meñ kyaa, maze mohabbat ke pā rahā huuñ
fasāna-e-aish sun rahā huuñ fasāna-e-ġham sunā rahā huuñ
tumhārī mashq-e-jafā ke sadqe buland haiñ dil ke hausle bhī
jahāñ jahāñ choT paḌ rahī hai vahāñ vahāñ muskurā rahā huuñ
sirāt-e-husn-e-talab meñ mujh ko añdherī rātoñ kā ġham nahīñ hai
tirī mohabbat kī raushnī meñ qadam maiñ apnā baḌhā rahā huuñ
yaqīn maano ki bijliyāñ bhī falak se aa kar panāh leñgī
chaman meñ sulh-o-safā ke tinkoñ se āshiyāna banā rahā huuñ
falak ke dāman pe chāñd taare nahīñ daraḳhshāñ to kyā 'nujūmī'
hazāroñ armāñ kā ḳhuun de kar maiñ shab ko rañgīñ banā rahā huuñ