har ik shai par bahār-e-zindagī mahsūs kartā huuñ
magar bā-īñ-hama terī kamī mahsūs kartā huuñ
bhaTak kar bhī kabhī manzil se begāna nahīñ hotā
kisī kī ġhā.ebāna rahbarī mahsūs kartā huuñ
maiñ apne dil pe rakh letā huuñ tohmat bad-gumānī kī
agar terī taraf se be-ruḳhī mahsūs kartā huuñ
ye duniyā ajnabī pahle bhī thī aur ab bhī hai lekin
ab apne aap ko bhī ajnabī mahsūs kartā huuñ
tumheñ is baat kā andāza shāyad ho nahīñ saktā
ki tum ko dekh ki kitnī ḳhushī mahsūs kartā huuñ