pichhle safar kā aks-e-ziyāñ mere sāmne
sab bastiyāñ dhuāñ hī dhuāñ mere sāmne
kis ḳhitta-e-talab meñ achānak paḌe the paañv
umDā huā thā dasht-e-gumāñ mere sāmne
jhoñkā sā biit jā.ūñ ki dīvār sā rukūñ
ik aa paḌī hai jā-e-amāñ mere sāmne
shahr-e-sadā pe hai koī parda paḌā huā
koī galī na koī makāñ mere sāmne
is par bhī kyā sabab hai ki uThte nahīñ qadam
jañgal na koī koh-e-girāñ mere sāmne
dekho to aabjū sī jo chhū luuñ to dhuul ḳhaak
kyā shai hai misl-e-reg-e-ravāñ mere sāmne
jis ke sabab rahā hadaf-e-roz-o-shab hī maiñ
TuuTī hai us ufuq kī kamāñ mere sāmne