kaisā vo mausam thā ye to samajh na paa.e ham
shāḳh se jaise phal TuuTe kuchh yuuñ lahrā.e ham
barsoñ se ik aahaT par the kaan lagā.e ham
aaj is moḌ pe aap hī apne sāmne aa.e ham
ham se bichhaḌ kar tū ne ham ko kaisā diyā hai shaap
ā.īne meñ apnī sūrat dekh na paa.e ham
peḌoñ kā dhan luuT chuke haiñ lūTne vaale log
jism pe mal kar baiThe haiñ peḌoñ ke saa.e ham
sūraj nigleñ chāñdnī ugaleñ shāyad mumkin thā
lekin apnī is ummīd ke kaam na aa.e ham
parbat ho yā peḌ ghanā ho yā koī dīvār
terī yaad liye phirte haiñ saa.e saa.e ham
gum hotī sī lagtī hai is ghar kī har ik chiiz
aa.e haiñ bāzār se kaise thake-thakā.e ham
ab ye terī apnī ḳhushī hai jo tujh ko raas aa.e
ham aa.e to saath apne sab mausam laa.e ham
kaun kisī kā hotā hai ye jānte haiñ ham bhī
phir bhī sab se milte haiñ ye baat bhulā.e ham
aañkh khulī to sannāTe kī kokh meñ the be-sudh
koī ajab āvāz thī jis par uḌte aa.e ham
dhartī par rakh deñ to dhartī ke TukḌe ho jaa.eñ
sabr o ġham kā patthar haiñ siine se lagā.e ham
lamha lamha TuuT rahā hai kis kī Thokar se
dekhte dekhte ujaḌ rahe haiñ base-basā.e ham
kis kā chehra ubhar rahā hai dil ke mashriq se
dishā dishā meñ ghuum rahe haiñ haath baḌhā.e ham
gaah koī chaTTān jahāñ par vaqt kī chaap thame
gaah bane bahtā huā pal aur haath na aa.e ham